Fazaile Sadqaat me Makaatebe Rashidiya se manqul Hz.Gangohi Reh. ke ek khat ki ibarat par Ali Zai ke Etraz ka Tehqeeqi Jaiza..!!!

مکاتیا رشیدیہ میں حضرت رشید احمد گوہیہی رحمہ اللہ نے اپنے شیخ کو
لکھا ہے وہ درج ہے فضائل صدقات میں مکاتیا رشیدیہ سے وہ نقل کرنے میں
کچھ لفظی خطا ہوگئی اور آپ کے شیخ واستاد بغض اہل السنۃ میں ہر وقت جلتے رہنے والے
زئی صاحب کی ہرزہ سرائی ملاحظہ فرمائیں:
’’دیوبندی مذہب کے تیسرے بڑے امام رشید احمد گوہیہی صاحب لکھتے
ہیں:یا اللہ معاف فرمانا کہ حضرت کے ارشاد سے تحریر ہوا ہے جھوٹا ہوں کچھ نہیں تیراہی
میں اور توخود شرک درشرک ہے استغفراللہ۔۔۔۔۔‘‘
] ]فضائل صدقات حصہ دوم ص 550 وللفظ لہ مکاتیب رش یدیہ ص 18
اس عبارت میں گوہیہی صاحب نے صاف صاف یہ عقیدہ بیان کیا ہے کہ یا
اللہ۔۔۔۔۔اور وہ جو میں ]یعنی گوہیہی[ہوں وہ تو]یعنی اللہ[ہے اور میں اور تو]کہنا[خود
شرک در شرک ہے۔معلوم ہوا گوہیہی صاحب اپنے آپ کو خدا سمجھتے تھے۔
] ]مکی لات ج 1ص 282
جناب اپنے مکی لات]مقالات[میں کس قدر تحریف کی بین القوسین الفاظ
زبیر صاحب کےتحریر کردہ ہیں جو اپنے خبث باطن کی تسکین اور اپنے خود نوشتہ کتبے کو
دلیل فراہم کرنے کے لیے جناب نے لکھے ہیں اور اصل عبارت سے جو مکاتیا رشیدیہ
میں موجود ہے اس سے جناب کی خیانت اور الزام تراشی کا بھانڈا پھوٹ جانا تھا اس لیے
فضائل صدقات کے غلطی سے لکھے گئے الفاظ  نقل کرکے واللفظ لہ کہہ دیا جناب کیا
ب کے ہوتے ہوئے بھی نقل کی خطا پر اپنے موقف 􃥶 آپ کی تحقیق یہی ہے کہ اصل
کی بنیاد رکھو اب آئیے مکاتیا رشیدیہ کی اصل عبارت کی طرف۔
یااللہ معاف فرمانا۔۔۔۔۔اور وہ جو میں ]بر ع می ا اردو ت ص 2272 [ہے وہ تو ہے
اور میں ]بر ع[اور تو]اللہ[خود شرک در شرک ہے استغفراللہ
اب اصل عبارت’’میں ہے‘‘کو فضائل صدقات میں’’میں ہوں‘‘سے بدل
دیا گیا تو جناب کو غوغا آرائی کا بہانہ مل گیا۔ویسے آپ زئی صاحب سے ذراپوچھیں تو صحیح
اگر بغض امام اعظم رحمہ اللہ کی وجہ سے عقل ماری نہیں گئی تو کیا بتانا پسند کریں گے کہ
جب گوہیہی صاحب خود کو خداسمجھ رہے ہیں تو پھر استغفار کس سے کررہے ہیں؟جیچاہتاہے آپ کے الفاظ  آپ ہی پر لوٹا دوں کہ کیا اہل حدیثوں میں کوئی ایسا نہیں جو زبیر
زئی صاحب کو سمجھائے کہ اپنی اوقات سے باہر پاوں نہ پھیلائیں
]الحدیث ش 77 ص 11،12 مع تغیر یسیر[
جناب زبیر صاحب !آپ اپنے استاد سے پوچھیں کہ مکاتیا رشیدیہ والی

عبارت کیا سمجھ کر ہضم کرگئے تھے پھر شیخ الحدیث رحمہ اللہ کے بارے میں بات کرنا

1

2

MAKATEEBE RASHIDIYA COVER 1

MAKATEEBE RASHIDIYA MAKTUB13

 

Musmad Ahmad me Hulb Taai Rd. se Marvi rivayat ka haal..!!!

Musnad Ahmad wali rivayat ka haal:
iski sanad me ek raavi SIMAAK BIN HARB hai…jispar aimmae jarah wattaadeel ne sakht kalaam kiya hai…
1- Imam Sufiyan : ye zaeef hai.
2- Imam Shuabah : isko zaeef qarar dete hai.
3- Imam Ahmad : Ye Muztaribul hadis he.
4- Imam Salih : Yuz’af (ise zaeef qarar dete hai.)
5- Imam Nasai : Jab munfarid ho to bilkul qabile qubul nahi kyu ke ise talqeen ki jaati thi aur ye qabul kar leta tha.
6- Imam Ibne Ammar : muhaddiseen ka faisla he ke ye galtiyo ka shikar tha.
7- Imam Ibnul Mubarak : ZAEEF FIL HADIS hadis me zaeef hai.
8- Imam Ibne Kharaash : FEE HADEESUHU LEEN (iski hadis me gadbad he)
9- Imam Ibne Hibbaan : YUKHTI KASEERAA bohot khatakaar tha
10- Imam zahbi : ise zuafaa me shumar karte hai.
11: Imam ibne adi : ise zuafaa me shumar karte hai.
12- Imam ibne jauzi : ise zuafaa me shumar karte hai.
13- Imam aqeeli : ise zuafaa me shumar karte hai.
[ TEHZEEBUTTEHZEEB Jild:3 Pg:67, 68, MEEZAANUL AETEDAAL J:2 PG:216, AL MUGNI LIZZAHBI J:1 PG:448, AL KAAMIL LI IBNE ADI J:4 Pg:641, KITABUL ZUAFAA WAL MATRUKEEN LI IBNE JAUZI J:2 PG:26, KITABUL ZUAFAA ALKABEER LIL BAIHAQI J:2 Pg:178]
14- Imam Abul Qaasim Al Ka’bi r.a ne Simaak ko BAABU FEEHI ZIKRI MIN RUMUHU BI ANNAHU MIN AHLIL BID’I WA ASHAABIL AHWAA
(un logo ka bayan jinhe mujaddiseen ne Ahle Bidat aur Khwahish parast kaha he) ke tahat zikr kiya he.
[dekhiye QUBULUL AKHBAAR WA MA`RIFATURRIJAAL Jild;2 pg:381-390]

In Tasreehaat se sabit hua ke SIMAAK BIN HARB Jamhur Muhaddiseen ke nazdeek Zaeef hai.

Isme dusra raavi QABEESAH BIN HULB hai jo Indal Aimma Majhul hai.
-Imam Ibnul Madini aur Imam Nasai r.a farmate he: MAJHUL (ye majhul hai)
[TEHZEEBUT TEHZEEB Jild:5 Pg:325,326]

Pas ye rivayat SIMAAK BIN HARB K SHADEED ZOAF aur QABEESAH ki jahalat ki wajah se sakht zaeef aur naqabile hujjat hai. .

Ibne Khuzaimah me marvi Hz.Waail Bin Hujr Rd. se marvi rivayat ka haal..!!!

GairMuqallideen seene par haath bandhne ki ek rivayat IBNE KHUZAIMA se pesh karte hai..!
Ibne Khuzaimah Wali rivayat ka haal:
Iski sanad me ek raavi MUAMMIL BIN ISMAIL hai, jispar bohot saare Aimmae jarah wattaadeel ne kalaam kiya hai. Aimma ki Aaraa Mulahiza Farmaye:
1.Imam Abu Zur’ah : Iski hadis me bohot khataa payi jaati hai.
2.Imam Abu haatim : Iski Khataa bohot zyada hai, iski jab kitabe zayea hogai thi to ye hafze k balbute par ahadis bayan karta tha to kasrat se galtiya karta tha.
3.Imam Bukhari : Iski hadis me nakarat aur uprapan paya jaata tha.
4.Imam AbuDawud : kai ek chizo me wahm ka shikaar tha.
5.Imam Ibne Hibban : Khatayen karta tha.
6.Imam AsSaaji : Iski khatae bohot zyada he aur waham ka bhi shikaar tha.
7.Imam Ibne Saad : Kasrat se galtiya karta tha.
8.Imam Ibne Qaanea : khataakaar tha.
9.Imam Daar Qutni : Bohot khataye karta tha.
10.Imam Muhammad Bin Nasr Almurouzzy ; iska haafiza kharab tha aur kasrat se galtiya karta tha.
[AL MUGNI FIZZUAFAA LIZZAHBI Jild:2 Pg:446, MEEZAANUL AETEDAAL LIZZAHBI J:4 Pg:417, TEHZEEBUT TEHZEEB J:6 Pg:489,490]
11. Imam Zahbi ne is (muammil) ko Zuafaa me zikr kiya hai. [AL MUGNI Jild:2 Pg:446]
12. Naaseeruddeen Albani Gair Muqallid ne bhi iski sanad k baare me yu hi kaha he..”ISNAADUHU ZAEEFUN LI ANNA MUAMMALA VVAHUABNU ISMAILU SAYYIUL HIFZ” is rivayat ki sanad zaeef he kyuke isme MUAMMAL BIN ISMAIL hai, jo bure hafize ka malik tha.
[HAASHIYA IBNE KHUZAIMA LI ALBAANI J:1 PG:272]

Abu Dawood me Taaus se marvi Mursal rivayat ka Haal..!!!

Allah Gair Muqallideen ko khud apne Mubham mazhab ka ilm naseeb farmaye…

Awwalan,…. Ye rivayat MURSAL he, aur Mursal Gair Muqallideen ke yaha zaeef hoti hai, khud apne hi mazhab par jo rivayat zaeef ho use bataur daleel bana kar pesh karne kaa maqsad kya hai..?

Saaniyan…Iski sanad me ek raavi ‘Sulaiman Bin Musa Damishqi’ hai, ispar bohot se Aimma ne zabardast Jarah ki hai.
1- Imam Bukhari : INDAHU MANAAKEER [Iske paas munkar rivayaat hoti hai.]
2- Imam Nasai : LAYSA BIL QAVIYYI FIL HADEES [Hadeea mai qavi nahi hai.]
3- Imam Aqeeli ne Zuafaa me shumar kiya hai.
4- Imam Ibne Adi ne Zuafaa me shumar kiya hai.
5- Imam Zahbi ne Zuafaa me shumar kiya hai.
[AZZUAFAA ASSAGEER LIL BUKHARI Pg: 55, 56, AZZUAFAA WAL MATROOKEEN LIN NASAI Pg:186, AZZUAFAA ALKABEER LIL AQEELI Jild:2 Pg:140, AL KAAMIL FIZZUAFAA Jild:3 Pg:1113, AL MUGNI FIZZUAFAA Jild:1 Pg:445 Wagairah]

Pas ye rivayat Had darjah Zaeefo Naqabile Aitbar hai.

FASALLILIRABBIKA WANHAR ki Tafseer…!!!

Surae Kausar ki ayat FASALLI LIRABBIKA WANHAR ki tafseer me chand rivayat pesh ki jaati he jisme sine par hath bandhne ka zikr hai….jiski koi Sanad bhi Saheeh nahi hai..!!

Iske raavi maslan ROOH IBNUL MUSAYYIB, YAHYA BIN ABI TALIB Hadd darjah zaeef hai aur ABU BAKR AHMAD BIN MUHAMMAD BIN AL HAARIS ALFAQEEH Majhoolul haal hai..!!!

Isiliye Hafiz Ibne Kaseer Rehmatullah alaih Farmate hai “Gair sahih sanad se marvi hai” [Tafeer Ibne Kaseer]

iske khilaf HAFIZ IBNE ABDUL BARR MALIKI Rehmatullah Alayh ne ATTAMHEED me Saheeh Sanad ke sath “NAAF KE NICHE” naql kiya hai…

رَوَی الْاِمَامُ اَبُوْبَکَرِالْاَثْرَمُ قَالَ حَدَّثَنَااَبُوالْوَلِیْدِ الطِّیَالِسِیُّ قَالَ حَدَّثَنَا حَمَّادُ بْنُ سَلْمَۃَ عَنْ عَاصِمِ الْجَحْدَرِیِّ عَنْ عُقْبَۃَ بْنِ صَبْھَانَ سَمِعَ عَلِیًّا یَقُوْلُ فِیْ قَوْلِ اللّٰہِ عَزَّوَجَلَّ{فَصَلِّ لِرَبِّکَ وَانْحَرْ} قَالَ وَضْعُ الْیُمْنٰی عَلَی الْیُسْرَیٰ تَحْتَ السُّرَّۃِ۔ (سنن الاثرم بحوالہ التمہید: ج8،ص164

Tarjamah: Hazrat Ali Raziyallahu Anhu is farmaan {فَصَلِّ لِرَبِّکَ وَانْحَرْ} ki tafseer karte hue farmate hai, Namaz me Daaye haath ko Baaye haath par Naaf ke Niche Rakha jaye.

[Sunan Al Asram bahawalae Attamheed Jild:8 Pg:164]

Is Sanadan Saheeh Rivayat ke Muqable me Zaeef Matruk Aur Majhool raaviyo ki rivayat hadd darja zaeef, Shaaaz aur Munkar ke hukm me he, jisse ahkam me istidlal karna durust nahi hai.

Ambiya Alaihimussalam qabro me zinda he -hadis

Hz.Anas Rd.farmate hai ke Nabie Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshaad farmaya “Ambiya Alaihimussalam Apni Qabro me zinda hai aur namaze padhte hai.”
-Musnad Abi Yaala Pg:658 HadisNo:3425, Majmauzzavaaid Hadis No:13812, Bazzaar-
scan page: http://sphotos-f.ak.fbcdn.net/hphotos-ak-ash4/309272_252925694836657_1965254890_n.jpg

-> Imam Haithami Rehmatullah Alayh ne is hadis ki sanad k bare me kaha “ISKE TAMAM RAVI SIQAH HE”
-MAJMAUZZAVAID-
Scan Page: http://sphotos-a.ak.fbcdn.net/hphotos-ak-prn1/27887_254058288056731_1453177206_n.jpg

->Allamah Ibne Hajar Asqalani Rehmatullah Alayh ne BUKHARI ki sharah FATHUL BAARI me iske tamam raaviyo ko saheeh kaha hai.
scan: http://sphotos-g.ak.fbcdn.net/hphotos-ak-ash3/537725_254061228056437_1950764801_n.jpg

->Is Hadis ko Imam Baihaqi Rehmatullah Alayh ne bhi apni kitab HAYATUL AMBIYA me Saheeh kaha hai.
scan: http://sphotos-d.ak.fbcdn.net/hphotos-ak-prn1/154655_254057121390181_947279485_n.jpg

->Is hadis ko Gair Muqallideen ke Muhaddise Asr Albaani sahab bhi Saheeh tasleem karte hue SILSILATUL AHADEESUSSAHEEHAH me naql kiya hai.
Scan Page: http://sphotos-d.ak.fbcdn.net/hphotos-ak-ash4/749_254060301389863_729306915_n.jpg

->Irshadul haq asri Gair Muqallid ne bhi is hadis ko sahih tasleem kiya hai..!

Is Sahih Hadis se sabit hota he ke Ambiya Alaihissalam apni QABRO me zinda hai. Hadis me saaf lafz hai FEE QUBURIHIM.

Aitraz: Fazaile Aamal me baaz Ahadis Zaeef hai.

Aitraz: Fazaile Aamal me baaz Ahadis Zaeef hai.

Jawab: MUHADDISIN KA USUL  HAI KE FAZAIL TARGEEBO TARHEEB ME ZAEEF AHADIS MAQBUL HAI…!!!

->Imam Navvi r.a farmate he… “Muhaddiseen, Fuqaha aur inke alawa Ulma ne farmaya he ke zaeef hadis par amal karna fazail aur targeeb aur tarheeb me jaiz aur mustahab he jabke wo hadis manghadat (mauzua) na ho.” (Al Azkaar linnawwi pg:31)-

azkar cover

nawwi azkar

isi usul ko darje zail hazraat bhi likhte he…
-Mulla Ali Qari r.a ———–(Mauzuaate kabeer pg:5, aur Sharah naqaya J:1 pg:9)
-Imam Haakim naishapuri r.a———- (MUSTADRAK HAAKIM J:1 PG:490)
-Allama sakhawi r.a ——-(AL QAULUL BADEEA PG:196)
-Ibne taimiya —–(FATAWA I.T J:1 PG:39)

GAIR MUQALLIDEEN BANAAM AHLE HADEES HAZRAAT BHI IS USUL SE MUTTAFAQ HAI…!!
->Shaikhul Kul Miya Nazeer Hussain Dehlvi sahab——-FATAWA NAZIRIYA JILD:1 PG:265
->Nawab Siddeeq Hasan Khan sahab——- DALEELUTTAALIB ALAL MATAALIB Pg:889
(Inka shumaar Gair Muqallideen ke akabir me hota he…bahawalae AAPKE MASAIL AUR UNKA HAL QURANO SUNNAT KI ROSHNI MAI JILD:2 PG:181 Taaleef: Mubasshir Ahmad Rabbani)
->Maulana Sanaullah Amritsari——AKHBARUL HADIS 15 shawwal 1346
->Hafiz Muhammad lakhvi——AHWALUL UKHR PG:6
->Hafiz Abdullah sb ropadi——FATAWA AHLE HADEES JILD:2 PG:473

Fazaile Aamal me Auliya Allah ke liye aisi Cheezon ko sabit kiya gaya hai Jo Anbiya (alaihim assalaam) aur Sahaba-e-Kiraam (raziallahu anhum) ke liye bhi Zaahir Na Hui.

Hazrat Shaikh Zakariyah (rah.) ki Kitabon me Auliya Allah ke liye aisi Cheezon ko sabit kiya gaya hai Jo Anbiya (alaihim assalaam) aur Sahaba-e-Kiraam (raziallahu anhum) ke liye bhi Zaahir Na Hui.

AL-JAWAAB:
Iska Jawab Imamul Munaazireen Hazrat Maulana Muhammad Ameen Safdar Okarwi (rahmatullahi alaih) se likhte hain.

“Waheed Sahab ne kaha Aise Waqeat ko Kaise Maan liya Jaaye.? Inme aisi baaton ka Zikr hai Jo Anbiya (alaihim assalaam) ke liye bhi Zaahir Nahi hui, Nabi (alaihis salaam) aur Sahaba (raz.) ka Maqaam to WALI se bohat BALAND hai. Ye bilkul Na-Mumkin hai ke Ek Kharq Aadat Nabi (alaihis salaam) aur Sahabi (raz.) ke hath par to Zaahir Na ho aur Kisi Wali ke hath par zaahir ho jaaye.?

Maine Kaha: Ajeeb baat hai Jahan Qiyaas Jayez ho wahan to Aap Usko SHIRK kehte hain aur (ab) Kharq Aadaat me Qiyaas shuroo’ Kar diya hai. Main Aap se poochta hoon ke Aap ko Khwaab Nazar aate hain Ya Nahi.?
Usne kaha: Aate hain.
Maine Kaha: bilkul Wahi Jo Anbiya (alaihim assalaam) aur Sahaba-e-Kiraam (raz.) ko aaye Ya aur bhi.?
Usne Kaha: Yahan Anbiya (alaihim assalaam) aur Sahaba-e-Kiraam (raz.) ka Kya Zikr.? Allah ta’la Jisko Khwaab chaahein Dikha dein.
Maine Kaha: Ba’z auqaat ek Chhotey bachchey ko KHWAAB nazar aata hai ke Subah batata hai ke Aaj Khwaab me, Maine dekha ke Nana Abu aaye hain aur Waqeatan Wo Aa bhi jaate hain aur Khwab sachcha ho jata hai. Magar is Khwab ka Koi Ye keh ke Inkar nahi karta ke Ghar ke Badon ko Ye Khwab Nahi aaya to Hum Kaise maan lein ke Bachchey ko Khwaab aa gaya.?

Dekho Bibi Maryam (Alaiha assalaam) Jo Waliyah hain Unko be-mausam Phal mil rahe hain magar Hazrat Zakariyah (alaihis salaam) Jo Nabi hain Unko Nahi mil rahe.

Sayyidah Aa’ishah Siddeeqah (raz.) ko Khaawand ke hote hue Larki bhi Nahi di aur Bibi Maryam (alaiha assalaam) ko baghair Khaawand ke Larka ataa farma diya.

Ya’qoob (alaihis salaam) ke hath Mubarak Rozaanah Munh par phirte hain magar Beenaa’i wapas Nahi aayi aur Yusuf (alaihis salaam) ki sirf Khameez lagne se Beenaa’i (Aankhon ki Roshni) Wapas Aa gayi.

Jo hawa, Suleiman (alaihis salaam) ka Takht uthaaye phirti thi Usko ye Hukm nahi mila ke Safar Hijrat me Aap (sallallahu alaihi wa sallam) ko Ek Lamhe me Madeenah pohncha de.

Suleiman (alaihis sakaam) Nabi hain lekin Takht Bilqees ka aana Unke Sahabi (raz.) ki Karaamat hai.

To bhai, Ye Allah ta’la ka Iqtiyaar hai, Wo Chaahein to Hazaaron Meel door BAITUL MAQDIS ka KASHF ho jaaye, Jannat, Dozakh ka KASHF ho jaaye aur Na Chaahein to chand Meel se Usman (raz.) ki SHAHADAT ki ghalat Khabar aaye aur Aap bi’at lena shuroo’ kar dein.

Wo (Allah) Na chaahe to KUN’AAN ke Kunwein me Yusuf (alaihis salaam) ka Ya’qoob (alaihis salaam) ko Pata Na Chale aur Jab chaahe to MISR se Yusuf (alaihis salaam) ke Kurtay ki Khushboo KUN’AAN me soongha de.

Maine Kaha: Aap Jo saari Dunya ko MUSHRIK keh rahe hain is par Nazar Saani Karein aur Taubah Karein.” [Maakhooz TAJALLIYAAT E SAFDAR 1/469]

Fazaile Aamal me kuch waqiyat aise he jo namumkin hai…!

AITRAAZ:
Faza’il-e-Aamaal aur Faza’il-e-Sadaqaat me Kuch Waqeat aise hain Jo NA-MUMKINAAT me se hain aur inse SHIRK wa BID’AAT ka darwazah Khulta hai.?

AL-JAWAAB:
Jis Kaam ko Aam Insan Na-Mumkin Samajhta hai, agar Wo Kaam Kisi Nabi (Alaihis Salaam) ke hath par Zaahir ho to Usko MU’JIZAH kehte hain.

Maslan
* Saalih (alaihis salaam) ki Oontni ka Pathar se paida hona.
* Moosa (alaihis salaam) ki Laathi ka Azdha banna aur Hath Mubarak ka Roshan hona aur Unke liye aur Unki Qoum ke liye Darya me Raaston ka banna.
* Isi tarah Ibraheem (alaihis salaam) ke liye Aag ka Gul-e-Gulzaar hona.
* Eisa (alaihis salaam) ke hath par Murdon ka Zindah hona aur MAREEZON ka TANDRUST hona waghera.
* Rasoolullah (sallallahu alaihi wa sallam) ke hath Mubarak par Chand ka 2 Tukrey hona.

Ye sab Cheezein Mu’jizaat me se hain. Iske alaawah Aap (sallallahu alaihi wa sallam) ke Seinkdon Mu’jizaat hain Jinka Zikr Kutab Hadees me maujood hai aur Hamaare Maulana Badar Aalam Meerthi (rah.) ne TARJUMAANUS SUNNAH me aur Maulana Ahmad Sa’eed Subhanul Hind (rah.) ne MU’JIZAAT RASOOL (sallallahu alaihi wa sallam) me Seinkdon Mu’jizaat zikr kiye hain.

Agar aisa Kaam Jisko Insan Na-Mumkin samajhta hai, Kisi WALI ke hath par Zaahir ho to Usko KARAAMAT kehte hain.

Maslan:
* Hazrat Maryam (alaihis salaam) ke liye band HUJRAH me Be-Mausami Phalon ka Muhya hona aur Khushk Darakht se taazah KHUJOORON ka muhya hona waghera, isi tarah As’haab-e-Kahaf ka 309 saal Ghaar me Sona.

Iske alawah Kutab Hadees wa Taareekh me Seinkdon Karaamaat Auliya Maujood hain Jinka Ihaata is maqaam par dushwaar hai.

Aitraaz karne waale Jin waqeat ko Na-Mumkin aur Shirk wa Bid’aat ka sabab samajhte hain Wo isi Qabeel se hain Ya to Mu’jizaat hain Ya Karaamaat hain.

Aitraaz karne walon se hamari Guzarish hai ke Wo in Waqeat ko Jab parhein to Musalman waale Zehan se parhein, Esaa’iyon waale Zehan se Na Parhein. Isliye ke Jab Esaa’i, Hazrat Eisa (alaihis salaam) ke Waqeat wa Mu’jizaat ko parhte hain to Wo Ye Samajhte hain ke isme Eisa (alaihis salaam) ka KAMAAL hai aur Ye Kaam Eisa (alaihis salaam) ki wajah se ho rahe hain. Lekin Jab Musalman in Waqeat ko parhte hain to Wo is Zehan se parhte hain ke Ye Sab Kaam Allah ta’la ki taraf se ho rahe hain aur isme dar haqeeqat Allah ta’la hi ki QUDRAT Kaar farma hai.

Lihaaza hamari Guzarish hai ke Jo bhi in Waqeat ko parhe to Wo Musalmano wale Zehan se parhe. In sha’ Allah Usko in waqeat me Tauheed Nazar aayegi. Agar Eisaa’iyon waale Zehan se parhega to Laa muhaalah Usko In Waqeat me SHIRK hi Nazar aayega.

AQLI DALEEL:
Farz Karein ke Aise Waqeat SHIRK wa BID’AAT ka sabab hain, iska matlab to Ye hua ke Jo is Kitab ko Zyadah parhega to Wo bada MUSHRIK hoga haalaanke humein Koi Allah ka bandah Jisne TABLEEGH me Saal Ya Kam se Kam 3 Chilley lagaye ho Nazar nahi aaya Jo SHIRK karta ho. Aitraaz karne walo ko agar Koi Aisa Bandah Nazar aaya ho to Zarur Mutalla’ farmayein Warna EiSAA’IYAT ki ZEHNIYAT Chhor dein Ya phir EiSAA’IYAT wali ZEHNIYAT rakh kar Hamaari is Kitab ko Hath Na Lagaayein.

(WALLAAHU AALAM BIS SAWAAB)

ABU MUSLIM QAULANI(Rahmatullahi Alaih) KA EK WAQIA [SAHABA KO CHALLENGE KARNE KA SHUBAH]

Bismillahirrahmanirraheem,

FAZAEL E SADQAAT me Hazrat Shaikh Rahmatullahi alaih tehreer farmate hain :
“ Hazrat Abu Muslim Qaulani Rahmatullahi alaih ne Ek koda apne ghar ki Masjid me latka rakha tha aur apne NAFS ko KHITAAB karke kaha karte ke uth khada ho, Mai tujhe (Ibadat me) achi tarah ghaseetunga ,yahan tak ke tu thak jayega, Mai nahi Thakunga aur jab un par kuch Susti hoti to us kode ko apni pindliyon par maarte aur farmate ke ye pindliyan peetne ke lye mere GHODE ki nisbat ziada Mustahiq hain ye bhi kaha karte ke SAHABA KIRAAM() yun samajhte hain (ke JANNAT ke saare darje ) wahi uda kar lejayenge, nahi hum unse (in darjon me) achi tarah MUZAHIMAT karenge, taake unko bhi Maloom ho jaye ke wo bhi apne peeche MARDON ko Chord aye hain.”
[FAZAIL E SADQAAT :231-232]
Baaz logon ko Fazael e sadqaat ke Mazkoora Baala Waqia par ye shubah hua ke goya ABU MUSLIM KHAULANI (Rah..) SAHABA KIRAAM() SE UNKE Maqqm o Martaba me Muqabla aarai aur Zor aazmai kar rahe hain, haalanke koi Ghair Sahabi kam Darje ke Sahabi ke ADNAA Martabe ko bhi Nahi pohanch sakta.
JAWAAB :
Pehle Hum Quran se Mukhtasar ye bataenge ke Sahaba e Ikram ki sachi pairwi karne walo ke lye Allah ne Jannat ke Darajaat tai kar rakhen hai. Chunanche
Surah Tauba Ayat 100 me Allah Ta’ala farmate hai
وَالسَّابِقُونَ الْأَوَّلُونَ مِنَ الْمُهَاجِرِينَ وَالْأَنْصَارِ وَالَّذِينَ اتَّبَعُوهُمْ بِإِحْسَانٍ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُمْ وَرَضُوا عَنْهُ وَأَعَدَّ لَهُمْ جَنَّاتٍ تَجْرِي تَحْتَهَا الْأَنْهَارُ خَالِدِينَ فِيهَا أَبَدًا ذَلِكَ الْفَوْزُ الْعَظِيمُ
Aur Jo Muhajireen o Ansaar (Iman lane me sab Ummat se) Sabiq aur Muqaddam hain aur (baqiyya Ummat me) jitney log IKHLAAS ke sath unke Pairu hain Allah un sab se Raazi hua aur wo sab Allah se Raazi hue, aur Allah ne unke lye aise BAAGH tayyar kar rakhen hain jin ke Neeche NEHREN beh rahi hongi, jin me wo Hamesha Hamesha rahenge (aur) ye Badi KAMYAABI hai.

A bap Ayat ko ghaur se padhen is Jumle
“وَالَّذِينَ اتَّبَعُوهُمْ بِإِحْسَانٍ”
“Se baat bilkul wazeh ho jarahi hai ke jitney log IKHLAAS ke sath unke Pairu hain Allah un sab se Raazi hua…” to isse pata chala ke Qayamat jo IMAN aur NEK AAMAAL me E SAHABA KIRAAM() ki Mukammil itteba kare Allah unse Raazi hai aur unke lye Jannat ke Darajaat hain.
Ab aye Aetraaz ki asal haqeeqat ki taraf:
Ye Aetraaz Darasal is wajeh se hua ke Mazkoora Waqie ko baghair nahi padha gaya , bus is Waqie ki Haqeeqat ye hai ke Huzoor Aqdas () ki Mubarak Sohbat ki wajah se SAHABA KIRAAM() ko Ibadaat me Mashaqqaten bardaht karna aur apne NAFS ka Ilaj karna Asaan tha , Lekin baad walon ko TAZKIYE ke lye SAKHT MUJAAHIDAAT karna Naguzeer hogaya hai, Hazrat Muslim Khaulani (rah) bhi NAFS ka ilaj karte hue shaded RIYAZATEN karte the , jab NAFS sust hojata tha to HAZRAAT E SAHABA KIRAAM() ke Waqiaat, Ibaadaat ko yaad kar ke NAFS ko BARANGEKHTA kiya karte the chaunke QISSE ke ye Jumle

1. ke SAHABA KIRAAM() yun samajhte hain (ke JANNAT ke saare darje ) wahi uda kar lejayenge.
2. nahi hum unse (in darjon me) achi tarah MUZAHIMAT karenge,
pehle jumle se saaf Maloom hota ke wo SAHABA KIRAAM() ko JANNAT ke tamam Darjaat ka Mustahiq samajhte the.

Doosra jumla bata raha hai ke SAHABA KIRAAM() ne apne Amaal li wajah se Khud ko JANNAT ke tamam Darjaat ka Haq daar banaliya tha HUM bhi Mujaahidon ke Zarye kuch Darjaat Haasil karlen.
Aur ye Baat bhi Malhooz rahe ke CHALLENGE aur Muqabla Aarai ye to Masawi Shaqs se hoti hai aur yahan se SAHABA KIRAAM() se to kisi WALI ya QUTUB waghaira ka koi TAQAABUL nahi hai to unko CHALLENGE karne ka kya maina?

Akhir me Dua hai ke
Allah Ta’ala Tamaam Musalmanon Ko Tassub Chhord Kar Haqq Kehne Sunne Aur Us Par Chalne Ki Taufeeq Ata Farmaye aur Ikhlaas ke sath Nek Amal me SAHABA KIRAAM() ki kaamil pairwi o itteba karne ki taufeeq ata farmaye.

Ameen Ya Rabbal Aalameen.